साहिल से हाजियो का फिर आ लगा सफीना
आक़ा न टूट जाए येह दिल का आबगीना
बुलवाई मदीने,दिखलाईये मदीना
दिल रो रहे जिनके, आँशु छलक रहे है
उन आशिक़ो का सदक़ा बुलवाईना मदीना
हिजरो फ़िर्क़ मैं दिल बे ताब हो रहे है
उश्शाक़ रो रहे है , लो चल दिया सफीना
बेताब हो रहा है तैयबा की हाज़री को
आशिक़ तड़प रहा है और फट रहा है सीना
बस आरज़ू यही है कदमो मैं जान निकले
प्यारे नबी हमराा मदफ़न बने मदीना
आँसू न थम रहे हो दिल खून उगल रहा हो
जिस वक़्त तेरे दर पर आउ शाह-ए-मदीना
ऐ बे-कशो के हमदम दुनिया दूर हो गम
बस जाए दिल मैं काबा और सीना बने मदीना
आक़ा मेरी हुज़ूरी कीआरज़ू हो पूरी
हो जाए दूर दुरी ऐ वाली-ए-मदीना
तब्लीग सुन्नत को करता रहु हमेशा
मरना भी सुन्नतों मैं हो सुन्नतों मैं जीना
रोज़े को देखने आँखे तरश रही है
दिखला दो सब्ज़ गुम्बद या, सैयद-ए-मदीना
उनके दियार मैं तो कैसे चलेगा फिरेगा
अत्तार ! तेरी जुर'अत तो जायेगा मदीना !
नात-ख़्वाँ;-
मुश्ताक़ अत्तारी
.............................................................Eng.......................................................
Nazdeek aa raha hai Ramzan Ka mahina
Sahil se hajiyo ka phir aa laga safina
Aqa na toot jaaye yeh dil ka abagineena
Bulwai Madine, dikhlaaiye Madina
Dil ro rahe jinke, aanshu chhalak rahe hai
Un aashiqo ka sadqa bulwaiye Madina
Hijro-firq mein dil be taab ho rahe hai
Ushshaq ro rahe hai, lo chal diya safina
Betaab ho raha hai Taiyaba ki hazri ko
Aashiq tadap raha hai aur fat raha hai seena
Bas aarzu yahi hai kadamon mein jaan nikle
Pyare Nabi hamara madfan bane Madina
Aansu na tham rahe ho dil khoon ugul raha ho
Jis waqt tere dar par aao Shah-e-Madina
Ai be-kasho ke humdum duniya door ho gam
Bas jaae dil mein Kaaba aur seena bane Madina
Aqa meri huzoori ki aarzu ho poori
Ho jaae door doori ai wali-e-Madina
Tabligh sunnat ko karta rahu hamesha
Marna bhi sunnaton mein ho sunnaton mein jeena
Roze ko dekhne aankhein tarash rahi hai
Dikhla do sabz gumbad ya, Saiyad-e-Madina
Unke diyar mein to kaise chalega phirega
Attar! Teri jur'at to jaayega Madina !
Naat-khwan:-
Mushtaq Attari
0 Comments