मुजको मिली है इज़्ज़त अतार की बदौलत
चमकी है मेरी किस्मत अतार की बदौलत
अपना बनाया मुजको सीने लगाया मुजको
जो भी है मेरी वुकअत अतार की बदौलत
अतार का मैं सग हु समजो न दरबदरहु
क्या खूब मेरी निस्बत अतार की बदौलत
सर सब्ज़ है इमामे पुरनूर दाढिया है
जिन्दा हुवी है सु्नत अतार की बदौलत
बातिल का ज़ोर तोडा तूफा का रुख भी मोड़ा
काइम है अहले सु्नत अतार की बदौलत
अल्लाह मुसतफ़ाकि मेरे गौस और राज़ा की
पैदा हो दिल मैं उल्फत अतार की बदौलत
है बिलाल ! क़ादरी की आखरी यही तम्मना
रोशन हो इस की तुर्बत अतार की बदौलत
नात-ख़्वाँ:-
बिलाल रजा क़ादरी
Roman (Eng) :
Mujhko mili hai izzat ataar ki badaulat
Chamki hai meri kismat ataar ki badaulat
Apna banaya mujhko seene lagaya mujhko
Jo bhi hai meri wuqat ataar ki badaulat
Ataar ka main sag hu samjho na darbadar hu
Kya khoob meri nisbat ataar ki badaulat
Sar sabz hai imame pur noor daadiya hai
Jinda hui hai sunnat ataar ki badaulat
Batil ka zor toda toofa ka rukh bhi moda
Qaim hai ahle sunnat ataar ki badaulat
Allah Mustafa ki mere gaus aur raza ki
Paida ho dil mein ulfat ataar ki badaulat
Hai Bilal ! Qadri ki aakhri yahi tamanna
Roshan ho is ki turbat ataar ki badaulat
Naat-khwan:-
Bilal Raza Qadri
0 Comments