ये कहती थी घर घर में जा कर हलीमा
मेरे घर में ख़ैर-उल-वरा आ गए हैं
बड़े औज पर है मेरा अब मुक़द्दर
मेरे घर हबीब-ए-ख़ुदा आ गए हैं
उठी चार-सू रहमतों की घटाएँ
मु'अत्तर मु'अत्तर हैं सारी फ़ज़ाएँ
ख़ुशी में ये जिब्रील नग़्मे सुनाएँ
वो शाफ़े'-ए-रोज़-ए-जज़ा आ गए हैं
मुक़र्रब हैं बेशक ख़लील-ओ-नजी भी
बड़ी शान वाले कलीम-ओ-मसीह भी
लिये 'अर्श ने जिन के क़दमों के बोसे
वो उम्मी लक़ब मुस्तफ़ा आ गए हैं
ये ज़ुल्मत से कह दो कि डेरे उठा ले
कि हैं हर तरफ़ अब उजाले उजाले
कहा जिन को हक़ ने सिराज-म्मुनीरा
मेरे घर वो नूर-ए-ख़ुदा आ गए हैं
ख़ुदा के करम से नकीरैन आ कर
कहेंगे ज़ियारत का मुज़्दा सुना कर
उठो बहर-ए-ता'ज़ीम, नूर-उल-हसन ! अब
लहद में रसूल-ए-ख़ुदा आ गए हैं
है सुन कर सख़ी आप का आस्ताना
है दामन पसारे हुए सब ज़माना
नवासों का सदक़ा, निगाह-ए-करम हो
तेरे दर पे तेरे गदा आ गए हैं
नात ख़्वाँ:-
ओवैश रज़ा क़ादरी
Roman (Eng) :
Yeh kehti thi ghar ghar mein ja kar Haleema
Mere ghar mein Khair-ul-Wara aa gaye hain
Bade auj par hai mera ab muqaddar
Mere ghar Habeeb-e-Khuda aa gaye hain
Uthi chaar-su rehmaton ki ghataayein
Mu'attar mu'attar hain saari fazaayein
Khushi mein yeh Jibraeel naghme sunaayein
Woh Shaaf'-e-Roz-e-Jaza aa gaye hain
Muqarrab hain beshak Khaleel-o-Nabi bhi
Badi shaan wale Kaleem-o-Maseeh bhi
Liye 'Arsh ne jin ke qadamoun ke bose
Woh Ummi laqab Mustafa aa gaye hain
Yeh zulmat se keh do ke dere utha le
Ke hain har taraf ab ujale ujale
Kaha jin ko Haq ne Siraj-ul-Muneera
Mere ghar woh Noor-e-Khuda aa gaye hain
Khuda ke karam se Nakeerain aa kar
Kahenge ziyaarat ka mujdah suna kar
Utho bahr-e-ta'zeem, Noor-ul-Hasan! ab
Lahad mein Rasool-e-Khuda aa gaye hain
Hai sun kar sakhi aap ka aastana
Hai daaman pashaare hue sab zamaana
Nawason ka sadqa, nigah-e-karam ho
Tere dar pe tere gada aa gaye hain
Naat Khwan:-
Owais Raza Qadri
0 Comments