जिस दिल में मुहम्मद की मोहब्बत नहीं होती
उस पर कभी अल्लाह की रहमत नहीं होती
मेरे ये अकीदा है अगर ज़िक्र खुदा में
ये नाम न शामिल हो इबादत नहीं होती
खुदा का नूर तुझ में हू-ब-हू है
खुदा पिंहा रू-बा-रू है
तेरी अज़मत का अंदाज़ा हो किसको
खुदा है और खुदा के बाद तू है
देखने को या मुहम्मद यूं तो क्या देखा नहीं
हाँ मगर महबूब कोई आप सा देखा नहीं
रसूल और भी आए ज़माने में लेकिन
कोई आप सा देखा नहीं
तुम्हारा सानी रसालत में आब हो न सका
तुम्हारा कहीं भी कोई जवाब हो न सका
रसूल और भी आए जहाँ में लेकिन
कोई भी साहिब-ए-उम्मुल की ताब हो न सका
जिसने देखे नैन मतवाले तेरे
मस्तों में खुद वो न हो तो क्या करे
इक नज़र जो देख ले कहता फिरे
हर हर कुंदल कुंदल उटे
आशिक़ दिल डोले
हुस्न तेरे दी सिफ़त के आखन
काफिर कलमा बोले
फिरे ज़माने में चार जानीब
निगार-ए-यक्ता तुम ही को देखा
यूं तो ईसा भी हैं, मूसा भी हैं, यूसुफ़ भी मगर
तुमसा तुम ही को देखा
देखा बहुत निगाह-ए-तलब को मिला नहीं
तुमसे तुम ही हो तुमसा कोई दूसरा नहीं
हसीन देखे, जमीले देखे
पर एक तुमसा तुम ही को देखा
रोया शब-ए-हिज्र में नहुत आश्क बहाया
इतने में मुसव्विर को ज़रा रहम जो आया
नक्शे काइन तसवीरों के वो सामने लाया
बोला के ये यूसुफ़ हैं, ये ईसा हैं, ये मूसा
मैंने कहा इनमें से किसी पर नहीं शैदा
जब सामने लाया वो शबीहे शाह-ए-वालाअ
बेसाख्ता उस वक्त ज़ुबान से मेरी निकला
मुख चांद, बदर, शाह-ए-शानी-ए
माथे चमके लात नूरानी-ए
काली ज़ुल्फ़, ते आँख मस्तानी-ए
मकबूल अंखी इन मद भरीयां
तेरी सूरत नु मैं जान अाखन
जान आगे जान जहां अाखन
सच अाखन ते रब्ब दी शान अाखन
जिस शान तों शानां सब बनियां
सुब्हानअल्लाह मह आसान का मह अकमल का
किथे मेहर अली, किथे तेरी सना
गुस्ताख़ अंखी किथे जा लारियां
इक से इक बढ़कर हसीन देखे मगर या मुस्तफा
तुमसे बढ़कर हुस्न वाला दूसरा देखा नहीं
मीम का पर्दा उठा कर वो निगाह-ए-शौक से
मुस्तफा को देख ले जिसने खुदा देखा नहीं
नात ख़्वाँ:-
ज़ोहेब अशरफी
Eng : (Roman)
Jis dil mein Muhammad ki mohabbat nahi hoti
Us par kabhi Allah ki rehmat nahi hoti
Mere ye aqeeda hai agar zikr Khuda mein
Ye naam na shaamil ho ibadat nahi hoti
Khuda ka noor tujh mein hoo-ba-ho hai
Khuda pinha roo-ba-roo hai
Teri azmat ka andaaza ho kis ko
Khuda hai aur Khuda ke baad tu hai
Dekhne ko ya Muhammad yun to kya dekha nahi
Haan magar mehboob koi aap sa dekha nahi
Rasool aur bhi aaye zamane mein lekin
Koi aap sa dekha nahi
Tumhara sanii risalat mein aab ho na saka
Tumhara kahin bhi koi jawab ho na saka
Rasool aur bhi aaye jahan mein lekin
Koi bhi sahib-e-ummul ki taab ho na saka
Jisne dekhe nain matwale tere
Maston mein khud wo na ho to kya kare
Ik nazar jo dekh le kehata phire
Har har kundal kundal utte
Aashiq dil dole
Husn tere di sifat ke aakhan
Kaafir kalma bole
Phire zamane mein chaar jaani b
Nigar-e-yakta tum hi ko dekha
Yun to Isa bhi hain, Musa bhi hain, Yusuf bhi magar
Tumsa tum hi ko dekha
Dekha bahut nigah-e-talab ko mila nahi
Tumse tum hi ho tumsa koi doosra nahi
Haseen dekhe, jameel dekhe
Par ek tumsa tum hi ko dekha
Roya shab-e-hijr mein nahut aashq bahaaya
Itne mein musavvir ko zara rehmat jo aaya
Naksha kayin tasveeron ke wo saamne laaya
Bola ke ye Yusuf hain, ye Isa hain, ye Musa
Maine kaha inmein se kisi par nahi shaida
Jab saamne laaya wo shabihe Shah-e-wala
Besaakhata us waqt zubaan se meri nikla
Mukh chand, badar, Shah-e-shani-e
Maathe chamke laat noorani-e
Kaali zulf, te aankh mastani-e
Makhbool ankhin in mad bhariyan
Teri soorat nu main jaan aakhan
Jaan aage jaan jahan aakhan
Sach aakhan te Rabb di shaan aakhan
Jis shaan ton shaanan sab baniyan
Subhanallah mah aasaan ka mah akmal ka
Kithe Mehr Ali, kithe teri sana
Gustaakh aankhi kithe jaa lariyan
Ik se ik badhkar haseen dekhe magar ya Mustafa
Tumse badhkar husn wala doosra dekha nahi
Meem ka parda utha kar wo nigah-e-shauk se
Mustafa ko dekh le jisne Khuda dekha nahi
Naat Khwan:
Zoaib Ashrafi
0 Comments