खुदा के फज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का
हमें दोनों जहाँ में है सहारा ग़ौस-ए-आज़म का
मुहम्मद का रसूलों में है जैसे मर्तबा आला
है अफ़ज़ल औलिया में यूँ ही रुत्बा ग़ौस-ए-आज़म का
मुरीदी ला-तख़फ़ कह कर तसल्ली दी ग़ुलामों को
क़यामत तक रहे बे-ख़ौफ़ बन्दा ग़ौस-ए-आज़म का
गए एक वक़्त में सत्तर मुरीदों के यहाँ हज़रत
समझ में आ नहीं सकता मुअम्मा ग़ौस-ए-आज़म का
हमारी लाज किसके हाथ है बग़दाद वाले के
मुसीबत टाल देना काम किसका ग़ौस-ए-आज़म का
बुलाकर काफ़िलों को देते हैं अबदार का रुत्बा
हमेशा जोश में रहता है दरिया ग़ौस-ए-आज़म का
लुआब अपना चटाया अहमद-ए-मुख़्तार ने इनको
तो फिर कैसे ना होता बोलबाला ग़ौस-ए-आज़म का
फ़रिश्ते मदरसे तक साथ पहुँचाने को जाते थे
ये दरबार-ए-इलाही में है रुत्बा ग़ौस-ए-आज़म का
मुख़ालिफ़ क्या करे मेरा के है बेहद करम मुझ पर
खुदा का रहमत-उल-आलमीन का ग़ौस-ए-आज़म का
लहद में जब फ़रिश्ते मुझसे पूछेंगे तो कह दूँगा
तरीक़ा क़ादरी हूँ नाम लेवा ग़ौस-ए-आज़म का
ख़ुदावंदा दुआ मक़बूल कर हम रू-सियाहों की
गुनाहों को हमारे बख़्श सदका ग़ौस-ए-आज़म का
जनाब ग़ौस दुल्हा और बराती औलिया होंगे
मज़ा दिखलाएगा महशर में सेहरा ग़ौस-ए-आज़म का
निदा देगा मुनादी हश्र में यूँ क़ादरियों को
किधर है क़ादरी कर ले नज़ारा ग़ौस-ए-आज़म का
मुख़ालिफ़ क्या करे मेरा के है बेहद करम मुझ पर
खुदा का रहमत-उल-आलमीन का ग़ौस-ए-आज़म का
फ़रिश्ते मदरसे तक साथ पहुँचाने को जाते थे
ये दरबार-ए-इलाही में है रुत्बा ग़ौस-ए-आज़म का
सलासिले जहाँ क्यूँ गर ना उनके रोब से कांपे
ना लाया शेर को ख़तरे में कुत्ता ग़ौस-ए-आज़म का
जमील-ए-क़ादरी सौ जान हो क़ुर्बान मुरशिद पर
बनाया जिसने तुझ जैसे को बन्दा ग़ौस-ए-आज़म का
Roman (Eng)
Khuda ke fazl se hum par hai saaya Ghous-e-Azam ka
Humen dono jahaan mein hai sahara Ghous-e-Azam ka
Muhammad ka rasoolon mein hai jaise martaba a'ala
Hai afzal awliya mein yun hi rutba Ghous-e-Azam ka
Mureedi la-takhaf keh kar tasalli di ghulamon ko
Qayamat tak rahe be-khauf banda Ghous-e-Azam ka
Gaye ek waqt mein sattar mureedon ke yahan Hazrat
Samajh mein aa nahi sakta muamma Ghous-e-Azam ka
Hamari laaj kiske haath hai Baghdad wale ke
Museebat taal dena kaam kiska Ghous-e-Azam ka
Bula kar kaafilon ko dete hain abdar ka rutba
Hamesha josh mein rehta hai dariya Ghous-e-Azam ka
Luab apna chataya Ahmed-e-Mukhtar ne inko
To phir kaise na hota bolbaala Ghous-e-Azam ka
Farishtay madarse tak saath pohchane ko jaate the
Ye darbaar-e-Ilahi mein hai rutba Ghous-e-Azam ka
Mukhalif kya kare mera ke hai be-had karam mujh par
Khuda ka rehmat-ul-alameen ka Ghous-e-Azam ka
Lahad mein jab farishte mujhse poochhenge to keh dunga
Tariqa Qadri hun naam leva Ghous-e-Azam ka
Khudawanda dua maqbool kar hum ru-siyahon ki
Gunahon ko hamare bakhsh sadqa Ghous-e-Azam ka
Janab Ghous dulha aur baraati auliya honge
Maza dikhlaayega mahshar mein sehra Ghous-e-Azam ka
Nida dega munadi hashr mein yun qadriyo ko
Kidhar hai qadri karle nazara Ghous-e-Azam ka
Mukhalif kya kare mera ke hai be-had karam mujh par
Khuda ka rehmat-ul-alameen ka Ghous-e-Azam ka
Farishtay madarse tak saath pohchane ko jaate the
Ye darbaar-e-Ilahi mein hai rutba Ghous-e-Azam ka
Salasile jahaan kyu gar na unke rob se kaampe
Na laya sher ko khatre mein kutta Ghous-e-Azam ka
Jameel-e-Qadri sau jaan ho qurbaan murshid par
Banaya jisne tujh jaise ko banda Ghous-e-Azam ka
Naat Khwaan:-
Hafiz Tahir Qadri
0 Comments