हाफिज ताहिर क़ादरी
Momina hai wo ki jis ko mohabbat 'Ali se hai Kazib hai wo ki jis ko 'adawat 'Ali se hai
Mustafa ka naukar hoon, main gulam-e-haider hoon Aal ka gadagar hoon, main gulam-e-haider hoon
Khatim-e-nubuwwat par, kishwar-e-risalat par Karta sab nishawar hoon, main gulam-e-haider hoon
Mustafa ka naukar hoon, main gulam-e-haider hoon
Hoon gada sahaba ka, ahl-e-bait ka sag hoon Khush-nasib-o-behtar hoon, main gulam-e-haider hoon
Mustafa ka naukar hoon, main gulam-e-haider hoon
Pyar hai 'Umar se bhi aur yar-e-dar se bhi Aur ghani ka naukar hoon, main gulam-e-haider hoon
Mustafa ka naukar hoon, main
Haath kyun main failon airon-gairon ke aage Sail-e-payambar hoon, main gulam-e-haider hoon
Mustafa ka naukar hoon, main gulam-e-haider hoon
Dushman-e-sahaba aur ahl-e-nar ki khatir Teer hoon main khanjar hoon, main gulam-e-haider hoon
Mustafa ka naukar hoon, main gulam-e-haider hoon
Mahfil-e-sahaba aur bazm-e-sayyida-zahra Main sajata aksar hoon, main gulam-e-haider hoon
Mustafa ka naukar hoon, main gulam-e-haider hoon
Mat samjhana ma'muli, main hoon qadri razvi Hakimon se badh kar hoon, main gulam-e-haider hoon
Mustafa ka naukar hoon, main gulam-e-haider hoon
Rab ka shukr hai, ragib! Pir ghaus hain mere Khak-e-pa-e-akhter hoon, main gulam-e-haider hoon
Hafiz Tahir Qadri
0 Comments